Blogging Gyan

"Unlocking Insights, One Blog at a Time."

wordpress

Top 10 Free WordPress Plugins 2017 – Hindi Me Jankari

Hello Readers, WordPress blogging ke liye better source hai. Most of the websites aap wordpress par dekhoge. WordPress popular hone ka reason hai ek single feature ko add karne ke liye bhi ek se jyada plugins hai.

WordPress me ek features ke liye itne plugins hai jisase ham confuse ho jate hai. Kis features ke liye konsa plugin use kare. Aaj ham ye article me top 10 free popular wordpress plugins ke bare me bat karenge.

WordPress install karne ke bad sabse pahle konse plugins ko install karte hai. Ye jan lena bahot jaruri hai.

Agar aapne wordpress install kiya hai to aapko plugins ke bare me bhi pata hi hoga. Lekin konsa plugin kaha use karna chahiye ye aaj ham janenge.

Akismet WordPress Plugin
Akismet ek bahot hi powerful plugin hai. Yah plugin aapko jarur install karna chahiye. Yah plugin spam comments ko filter karne me help karta hai. Aapko pata hai spam comments ko handle karna bahot hi mushkil hai.

Mostly spam comments automatic generated hote hai ya manually comment kiye hote hai. Jisase aapke site ki image down ho sakti hai aur search engine me rank bhi decrease ho sakta hai. WordPress ke liye first and useful plugin Akismet hai. Isko jaruri install karna chahiye.

Get Akismet

Wordfence Security
WordPress website ko secure karne ke liye Wordpfence security plugin bahot jaruri hai. Wordfence security ko jarur wordpress me install karna chahiye.

Yah plugin choti se choti error ko bhi find karke show karta hai. Hackers ka attack ho ya unknown login ho yah plugin email ke jariye notify karta rehta hai. Jisase aap problem ko quickly resolve kar sake.

Get Wordfence Security

UpDraftPlus Backup and Restoration
Hamare website ka sara data hosting server par hota hai. Hosting server se kho janeka khatra bana rehta hai. Agar aapki site koi reason se crash hoti hai to aap problem me aa sakte hai.

Iske solution ke liye wordpress me UpDraftPlus Backup and Restoration plugin available hai. Jiski help se aap aasani se database backup and restore kar sakte hai. Isase aapke website ka data automatically backup hota rahega.

Get UpDraftPlus

Best SEO Plugin – Yoast SEO
WordPress me agar aap SEO ki bat kar rahe ho to without yoast plugin ke aap servive nahi kar sakte. Yoast seo aapke blog ki basic se lekar advanced tak seo me help karta hai.

Yoast seo se aap better content likhakar aape wordpress site ko seo friendly bana sakte hai. Yah plugin title, description, content of length, keywords and other things ko analyze karta hai. Aur aapko ek better result provide karta hai.

Get Yoast SEO

Jetpack by wordpress
Automattic ke dwara launch kiya hua yah wordpress ka ek plugin hai. WordPress install karne ke bad aapko jetpack and akismet plugin by default hota hai. Aapko install karke activate karna hota hai.yah plugin ko aapko must install karna chahiye. Yah multi feature plugin hai jisaki help se aap site ko behtarin bana sakte hai.

Get Jetpack

Best Image Compressor – WP Smush
WP Smush ki help se ham website images ki size ko compress kar sakte hai. Website loading speed ke liye images size compressed hona jaruri hai. Big size ki image se website loading time increase hota hai. Website ka content to load ho jata hai lekin images ko load hone me time lagta hai. Website speed optimized karne ke liye WP Smush bahot jaruri hai.

Jarur Pade :- WP Smush Review: Image Compressor WordPress Plugin

Get WP Smushit

Best Caching Plugin – W3 Total Cache
Agar bat website speed ki aati hai to sabse upar W3 Total Cache plugin ka name aata hai. Isase aap easily website ka performance improve kar sakte hai. WordPress plugin directory me aapko bahut cache plugin mil jayenge. Lekin sabi helpful nahi hote. W3 Total Cache plugin sabme badiya plugin hai.

Jarur Pade:- How to Install and Configure W3 Total Cache WordPress Plugin

Get W3 Total Cache

TinyMCE Advanced
WordPress ke default editor window me ham blog post likhte hai to limited functions hote hai. TinyMCE Advanced plugins se ham editor window functions ki power ko increase kar sakte hai. Yah install karne ke bad aapke editor window me alag se toolbar create ho jata hai. Features me aap fonts size change kar sakte hai. Find and replace ,table insert karna aur bhi features hai.

TinyMCE Advanced

Best Redirection Plugin – Redirection
Redirection ek wordpress plugin hai jo aapke sites ki 301 redirects ko manage karta hai. Man lijiye aap aapke purane post ki permalink change karna chahte ho, aur aap vah permalink se linked backlinks ko bhi khona nahi chahte. To yah plugin se aap easily 301 redirection laga sakte hai aur aapki permalink change kar sakte hai.

Get Redirection

Contact Form 7
Agar aapko wordpress me behtarin contact form create karna hai to yah plugin aapko help kar sakta hai. Contact form 7 se aap wordpress blog par easily contact form add kar sakte hai. Yah kisi bhi blog ke liye bahot hi important hota hai. WordPress plugin directory me contact form ke bahot sare plugin hai. Lekin contact form 7 se wordpress beginner bhi aasani se site par configure kar sakta hai.

Get Contact Form 7

Dosto to ye thi hamari top 10 plugin list jo ham wordpress me use kar sakte hai. Agar aap confuse ho ki wordpress install karne ke bad konse plugins install kare to yah article aapko helpful rahega.

Yah article related aapko koi bhi questions ho to aap hame comment ke jariye puch sakte hai. Yadi aapko yah jankari helpful lagi ho to jarur share kariye aur hame subscribe karna na bhule.