Kya aapke pass apple iPhone hai? Kya aap iPhone me Facebook video download karna chahte hai, lekin aapko tarika nahi pata. To aap sahi post padh rahe hai. Is article me aap janenge ki iPhone me Facebook video download kaise kare.
Kya aapne kabhi unki official app se facebook videos download karne ka try kiya hain. To aapne notice kiya hoga facebook app directly video iphone me save karne ko allow nahi karta.
ADVERTISEMENT
Agar aap online facebook videos dekh rahe hai to aapka internet pack jaldi khatm ho jata hai. Koi video aapko pasand he to aap use kai bar dekhna pasand karenge.
Halaki YouTube me video offline dekhne ke liye offline video downloading feature unki aap me add kiya hai.
ADVERTISEMENT
Lekin agar aapko Facebook par favorite video bar bar dekhna hai to aapko us video ko download karna hi padega. Lekin Kaise?
Jee haan aap Facebook video download kar sakte hai with the help of third party app – Friendly. Yah article me ham janenge ki Friendly app se facebook video download kaise kare.
Page Contents
1 iPhone Me Facebook Video Download Kaise Kare
1.1 Save Facebook Videos on iPhone
1.2 Sharing is Caring
1.3 Related
iPhone Me Facebook Video Download Kaise Kare
Apple iPhone me Facebook videos download karne ke liye maine yaha par ekdam simple trick bataya hain.
Agar aapko yah trick use karni hai to uske liye aapko Friendly – One App for Facebook and Messenger app install karna padega. Yah app aap play store se free me download kar sakte hain.
ADVERTISEMENT
Save Facebook Videos on iPhone
1# Facebook video download karne ke liye sabse pahle Friendly app download and install karke open kare.
2# App open karne ke bad Facebook account se login kare.
Friendly Facebook and Messanger
3# Facebook par video open kare jo aapko download karna hai. Video par click kare and aap video ke niche right bottom side par download icon show hoga jo little cloud type ka hoga.
Download button par click kare
4# Download icon par click karne ke bad ek Pop-up menu open hoga jisme aapko sabhi options mese ek option select karna hai.
Facebook video download kaise kare
5# Options me aapko “Download Video to Camera Roll” show hoga. Facebook se video download karne ke liye yah button par click kare.
ADVERTISEMENT
6# Click karne ke bad aapko download progress show hoga. Download aapke Wi-Fi connection and video size par depend karta hain.
7# Ekbar download complete ho jane ke bad aap downloaded Facebook video ko photos folder me dekh sakenge.
Yah simple trick follow karke aap aasani se iPhone me Facebook video download kar sakte hai. Vese other option me aap VidMate app se Facebook and YouTube videos bhi download kar sakte ho.
Article pasand aaya to aap apne friends ke sath social media par share karna na bhule.
Latest updates ke liye BloggingGyan newsletter ko subscribe karna na bhule.