internet

JIO SIM Users Ko Yah Apps Download Karna Chahiye

Chaliye dekhte hai ki aapko kon kon si apps download karke install karna chahiye.

FilmWeb App
Filmweb

Free me internet mil jaye to sabse pahle users movie ya videos download karte hain. Free me movie dekhne ke liye Filmweb app aapke mobile me install honi chahiye. Yah app me movie ke sath sath aap music and videos bhi dekh sakte hain. App me aapko different resolution milenge yani aap Full HD me video dekh sakte hai. Agar users ko movie pasand he aur vah apne mobile me download karna chahta he to is app se users download kar sakta hain. Aap hottest and favorite movie trailer HD me dekh sakte hain. Google play store me yah app free me available hai. Free me movie dekhne ke liye yah app download karna chahiye.

Hotstar TV Movies Live Cricket
Hotstar app

Hotstar app one of the popular app hain. Mostly users online movie, serials and cricket dekhne ke liye hotstar ka use karte hain. Yah app star network ki official app hai. Hotstar app ki help se aap star network ki sabhi channel dekh sakte hai. Agar aapko Star plus ki serials dekhni hai to aap free me episodes dekh sakte hain. Additionally agar aap cricket ke fan hai to aap Live cricket match bhi yah app ki help se dekh sakte hain. Abhi IPL 2017 chal raha he aur Hotstar app par aap Live telecast dekh sakte hain.

Free Best Movie Apps for Android
VidMate App Install Kaise Kare

FIFA 17 App
FIFA free app

Agar aap gaming ke shaukeen he to aapko FIFA 17 app install karni chahiye. Yah Football game android mobile me khelne ke liye one of the best game hai. Jinhe Football khelna pasand he unko yah app romanchit kar dega. Ek bar game ko install kariye aur game ka aanad uthaye. Ish app ki khasiyat yah he ki yah game high definition graphics and sound ka istemal kiya gaya hai.

Dropbox App
Dropbox

Agar aapke paas heavy size ki file hai aur aapko vah file upload karni hai to Dropbox one of the best tool hai. Yah ek cloud server hai, jisape users apna data save kar sakta hain. Is app ki khas bat yah he ki user file ko upload and save karne ke sath sath file ko share bhi kar sakta hain. Yah app aapke android mobile me honi chahiye. Isase aapka data lost hone ka dar nahi rahega.

Google Drive me YouTube Video Save Kaise Kare

Gaana: Bollywood Music and Radio App
Music lover ke liye yah app bahot useful hai. JIO SIM users ish app ka bhi fayada le sakta hain. Man lijiye ki aap songs sunane ke shaukeen hai lekin aapke mobile me songs ko save karne ke liye space nahi hai. Tab aap Gaana app ki help se online songs sun sakte hain. JIO SIM ke free internet ka fayada users online songs play kar ke le sakte hain. Aap Google play store par search karenge to aese bahot sari apps milegi. Gaana, Saavn, Hangama, Wynk app se aap online songs sun sakte hain.

Facebook App
Facebook ek aesa app he jisko aap sabhi android mobile dekhne ko milega. FB app ke jariye users chatting ke sath sath voice and video calling bhi kar sakte hain. Yah app photo sharing and video sharing ke liye bhi useful hain. Facebook one of the popular social networking app hain.

Photo Editing App
Google play store par bahot sare photo editing apps hain. Jinko aap apne mobile me install karke apne photo ko aur majedar bana sakte ho. JIO users in app ko play store se free me download karke install kar sakte hain. Google play store par Photo editing app search kare and review and rating ke hisab se app ko apne mobile me install kare.

Iske alava bhi bahot sari apps he jinko aap JIO SIM se play store se download karke use kar sakte hai. Agar aap game khelna pasand karte hai to Clash of clan, Boom beach, call of duty, Need for speed aur bhi high graphics game install kar sakte hain, jinko aap online khel sakte hai.

JIO SIM and WiFi users ko yah apps download karna chahiye & free internet ka benefit lena chahiye.

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *