Blogging Gyan

"Unlocking Insights, One Blog at a Time."

internet

Voter ID Card Online Apply Kaise Karte Hain Janiye Step by Step Jankari

Voting ID or Voter ID Card hamare pass hona kitna jaruri hain. Aur agar aapki age 18 year ho chuki hain to aapko jarur se new voter ID card banva lena chahiye. Lekin aap confuse honge ki Voter ID card ke liye apply kaise kare. Kyoki usually jab elections hote hain tab ham election card ke liye apply kar sakte hain.

Par ab aesa nahi hain! Aap ghar bhethe bhethe bhi voter id banaya ja sakta hain.

Hmmm…. How?

Main batata hu aapko. Iske liye aapke pass internet connection and computer chahiye. Bas yani aapka kam ho gaya.

Paytm Wallet Se Bank Account Me Money Transfer Kaise Kare
Jee haan dosto, agar aapko voter list me aapka name register karna hain to yah kam ghar bhethe computer se ho sakta hain.

Kisi bhi desh me apni khud ki pehchan batane ke liye document hote hain. Hamare India me Aadhar card and Election card, yah two important document hain.

Election Commission of India ne new voters ko name register karne ke liye online facility se register kar sakte hain.

Niche bataye gaye link se aap India se kisi bhi state se election card ke liye online apply kar sakte hain.

Chaliye dekhte hain yah process step by step kaise hote hain.

Table Of Contents:

Online Voter ID Card Apply Kaise Kare
Conclusion
Online Voter ID Card Apply Kaise Kare
Apna name voter list me add karne ke liye aapko niche diye gaye steps ko follow karne hain.

Note: – Sabhi steps carefully follow kare.

Sabse Pahle http://www.nvsp.in/ (National Voters Service Portal) par visit kare.

Yaha par aapko Apply online for registration of new voter par click kare.

Voter ID Card apply online

Next screen me aapko form 6 fill up karna hain.

apply-voter-id-card

Form 6 me kya and kaise fill up karna hain vo maine niche bataya hain. Yaha par aap jo mandatory mark(*) hai vahi fill up kar sakte hain baki column ko chod sakte hain.

Pahle aapko State and city select karna hain.
Ab aapko full name, name of relative (father/husband/mother), type of relation, age, date of birth, gender fill up karna hain.
Fir apna full address, mobile number, email address enter karna hain.
Yaha par aapne aapko personal details fill up kar di hain. Ab aapko jaruri document fill up karne hain.

Jaruri document me yaha aapko aapka passport size photograph, Age proof and address proof upload karna hain.

In sabhi document ki scan copy karke ready rakhe.

ID Proof Ke liye Document

School leaving certificate
Passport
Driving license
Pan card
Aadhar card
Birth certificate
Address Proof Document

Ration card
Light bill
Postpaid mobile bill
Aadhar card
Driving license
Passport
Upar bataye document me se koi bhi document aap upload kar sakte hain.

Ek bar sab sahi se check karke application ko submit kar dena hain.

Application ko successfully submit karne ke bad aapke register email address par status tracking link and reference number receive hoga. Same aapke mobile number par bhi receive hoga.

Aap is tracking number se status track kar sakte hain.

Conclusion
Sabhi states ke anusar aapko 30 ya 40 days ke bhitar Voter/ Election card aapke ghar par mil jata hain.

Is tarah aap Voter ID Card online register kar sakte hain. Yah process sirf unke liye hain jinhone ek bar bhi voter card ke liye apply nahi kiya. Matlab ki fresher hain.