Blogging Gyan

"Unlocking Insights, One Blog at a Time."

technology

How to Transfer Music from Xender to Music Library in iPhone/ iPhod /iPad in Hindi

Aaj han janenge Xender free app se iTunes ki help se iPhone music library me transfer music kaise kare. Jabki hamne pichli post me top 5 free wordpress social media plugins for wordpress ke bare me jana tha. Me asha karta hu aapne bhi post padhkar plugins ko aapke blog me install and activate kiya hoga.

Agar aapko other Android device se iPhone / iOS device me music ya file transfer karni ho to Xender app (iOS ) ek bahut hi easiest and efficient way he music ko transfer karne ke liye.

Lekin kya aapko pata hai Xender se receive kiye hue songs iPhone ki music library me kaise transfer karte hai. Agar aapne songs ko other Android ya iOS device se receive kiya he to aap use local music library me move nahi kar sakte. Aapko songs ko Xender se hi sunana hoga.

Aaj main aapke sath easy, free and 100 % working trick share karne ja raha hu. Jisko step by step follow karke aapka questions like how to transfer music from Xender to iPhone music solve ho jayega.

Agar aapko iOS device me songs transfer karna hai to aap without iTunes transfer nahi kar sakte.

Recently yahi same experience mere sath hua. Mere pass Apple iPhone 6 hai. Ek bar mera friend songs sun raha tha aur uske pass songs ka bahot hi badhiya collections hai. To mene usase songs Xender se mere iOS device me receive kiye. Lekin me songs ko only Xender se hi sun sakta tha. Agar main music app open karu to music library empty show ho rahi thi.

Apple iPhone 7 Specifications Hindi Main Jankari
Phir maine mere dusare friend se pucha jisake pass bhi Iphone hai. To usne bataya ki hum Xender se receive kiye hue songs music library me nahi sun sakte. Apple ne allow nahi kiya hai.

I thought aesa to nahi ho sakta, koi na koi tarika to hoga. Mene Google par search kiya lekin koi properly answer nahi mila.

Lekin bad me main ek trick dundh hi li jisko follow karke aap Xender songs ko music library me move kar sakte hai.

Chaliye dekhte hai How to import music songs/music from Xender to Music Library.

Page Contents

1 How to Transfer Music from Xender to Music Library in iPhone
2 Wrapping Up
2.1 Sharing is Caring
2.2 Related
How to Transfer Music from Xender to Music Library in iPhone
Xender se music library me songs ko transfer karne ke liye device ko jailbreak karne ki jarurat nahi hai. Without jailbreak hi ham music ko transfer karenge. Iske liye aapko sirf Iphone mobile and iTunes software chahiye. Below steps ko follow karke aap easily music ko Xender se iPhone ki music library me songs transfer kar paoge.

Step 1 – Sabse Pahle Phone ko computer se iTunes ke sath connect kare. Jisame iTunes software install kiya hai.

connect-iphone-to-itune-software

Step 2 – iTunes ko open karte hai computer ke sath aapka phone sync hona start ho jayega. Sync hote hi iTune me aapke phone ko select kare.

Step 3 – Phone ko Select karne ke bad ab “apps” ko select kare.

apps-select-kare

Step 4 – Ab scroll down karke file sharing option se “Xender” ko select kare. Reference ke liye niche diye gaye screen shot ki help le.

xender-select-kare

Step 5 – Xender ko select karne ke bad right side me aapko kuch folders show honge. Usme se “other” folder ko select kare. Folder ko select karne ke bad export karne ke liye (local computer me save karne ke liye) “Save to” par click kare. Proper folder destination dekar save folder par click kare.

other folder select kare

Step 6 – Now simple jese aap iTunes se file ya folder transfer karte hai vah step karna hai. Uske liye iTunes ke “file” menu se “Add folder to library” par click kare.

add-folder-to-library

Step 7 – Jo folder aapne step 5 me export kiya tha us folder ko select kare.

Step 8 – Folder ko select karte hi my music me songs show karne lagenge. ek bar phone ko iTunes se sync karke check kar le.

Wrapping Up
Above steps ko acche se follow karne ke bad songs ko aap iPhone music library me dekh sakoge. Ab aap aaram se music player me songs play kar sakte hai.

Aap songs ko transfer karne ke liye konsi trick / method use karte hai. Hame comments ke jariye jarur bataye.

I hope ki aapko mera yah article How to Transfer Music from Xender to Music Library in iPhone/ iPhod /iPad in Hindi pasand aaya hai. Agar pasand aaya hai to aap social media me friends ke sath share karna na bhule. New latest tips & tricks update ke liye hame subscribe kare.