technology

Apple iPhone 7 Specifications Hindi Main Jankari

Ham yaha par Apple iPhone 7 Specifications ko hindi me janenge. Apple ne San Francisco me officially Apple iPhone 7 or Apple iPhone 7 plus ko launch kar diya hai. Duniya ke apple lovers ye din ka wait kar rahe the ki kab unke hath me iPhone 7 ho. Agar aap smart phone lene ka soch rahe ho to aap yaha par Apple iPhone 7 specifications or features ke bare me pad sakte hai.

Apple iPhone 7 Specifications
Company Apple ne sabse bada or most awaited smart phone iPhone 7 2016 launch kiya hai. Apple ne is bar tones of new features ke sath iPhone 7 ko launch kiya hai. Apple iPhone 7 me aapko upgraded camera, new home button, a faster processor or apple ne headphone jack ko remove kar diya hai.

Event me Apple watch 2 ko bhi launch kiya hia. Jisme aap ab pokemon game khel payenge. Chaliye dekhate hai new Apple iPhone 7 specifications and features in hindi main.

Recommended:-

Bluehost Affiliate Account Kaise Banaye aur Income Kaise Kare
Google Search Console me Blogger Sitemap Kaise Submit Kare
Broken Link Checker WordPress Plugin: Fix Broken Link
iPhone 7 Advance Camera
Apple iPhone 7 Specifications me sabse pahle Camera aata hai. Apple smartphones unke camera features se jane jate hai.

iPhone 7 me aapko 12 megapixel ka rear camera milega. Jab ki 7 Megapixel ka selfie front camera milega.
Apple handset improved face, body detection, and white balance or exposer jese features milenge.
iPhone 7 me f/1.8 aperture features hai.
iPhone 7 or iPhone 7 plus me 7 megapixel ka HD front camera hai. Jabki iPhone 6S me 5 megapixel hi tha.
Apple iPhone 7 Specifications and features

Dual Rear Camera
Apple iPhone 7 plus powerful dual lens camera ke sath upgrade hua hai. Each camera se aap different focal length ke photo le sakte hai.
iPhone 7 plus me 2x optical zoom capability features hai. Aap easily zooming ko 1x se leke 10x tak switch kar sakte ho.
iPhone 7 plus me ek easa feature hai jisase aap 3D image jesi picture nikal sakte ho.
iPhone 7 Design
Apple iPhone 7 ki display size 4.7 inch hai. Jabki iPhone 7 plus ki 5.5 inch hai.
Aapko yaha par Retina display dekhne milega.
iPhone 7 series ka display 6S se jyada bright hai.
Stereo Speakers
Apple iPhone 7 Specifications and features2

iPhone 7 series me 3.55 mm headphone jack nikal diya hai. Yaha par new dongle in-box launch kiya hai. Jiski help se aap 3.5 mm headphone connect kar sakte ho.
5 mm headphone jack ki replace me yaha lightning headphone diye hue hai.
iPhone 7 or Iphon 7 plus me NFC ka new or different version hai. Jiska name Felica rakha hai.
New iPhone me onboard stereo speakers hai – ek top me or ek bottom of the device. Joki gaming, TV shows or movies ke liye helpful rahenge.
Battery Life
iPhone 7 me wi-fi browser time 14 hours or iPhone 7 plus me 15 percent hoga.
Ye iPhone ki di hui sabse long life battery hai.
3G or 4G network par iPhone 7 12 hours ka battery backup dega. Jabki iPhone 7 plus 13 hours tak chalega.
Both phones wireless charging ko support nahi karte.
Wireless audio par iPhone 7 ki battery 40hours aur iPhone 7 plus ki 60 hours chalegi.
Processor
iPhone series me A10 fusion processor hai. Joki A9 se 40 % or A8 se 50% faster hai.
64 bit ka Quad-core processor hai. Company ke kahe anusar isase battery ki life me badotari hogi.
Graphic chip 240 % fast hai.
32GB as Base Storage
Company ne iPhone 7 and Iphone 7 plus se 16GB version ko nikal diya hai. Ab iPhone 32Gb, 128Gb, 256Gb three variants me launch hoga.

iPhone 7 Release Date
Friday se iPhone ki pre-booking start ho chuki hai. 7th October tak India me Apple Iphone 7 deliver ho sakta hai. iPhone 7 price around $649 (Rs. 43,000 approx) ho sakti hai. Jabki iPhone 7 plus price $769 (Rs. 51,000) ho sakti hai.

Apple Iphone 7

Apple Iphone 7 Plus

Display 4.7 Inch 5.5 Inch
Processor Quad-core Quad-core
Front Camera 7-Megapixel 7-Megapixel
Resolution 750×1334 pixels 1080×1920 pixels
OS IOS 10 IOS 10
Storage 32 GB 32 GB
Rear Camera 12 Megapixel 12 megapixel
Water and dust resistant Yes Yes

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *